Ek shor hai tujhmei, Jo bahut shant hai. Ek lehar hai tujhme, Jo thehar sa gaya hai.
Ek shor hai tujhmei, Jo bahut shant hai. Ek lehar hai tujhme, Jo thehar sa gaya hai. Bheege unn patto ke tarah, Unnmei base unn boondo ke tarah, Ek agan si hai tujhmei, Jo kahi kho gaya hai, Ek pyas hai tujhmei, Jo bujh sa gaya hai. Tu wo shor nahi, Jo bheed mei shant ho jae. Wo lehar nahi, jo ek jhoke se darr jae. Uth or bata, Aaj bhi tu wahi hai jo tu kal tha. Uth or bata aaj bhi tu, wahi hai jaha tu kal tha. Wahi pyas hai tujhmei, Wahi agan hai tujhmei, Tu shant zaroor hai Par tu chup nahi hai. Tu hi aaj hai, Tu hi kal hoga. Tujhmei hi aaj hai, Tujhse hi kal hoga. UTH OR BATA.
Comments